Pages

Wednesday, 7 March 2012

Quran me insaan ke chaand (Moon) me pahuchne ka zikr

“Hey Jino aur Insano ki toliyo! Agar tum samajhte ho ki Aasman aur Zameen (Earth) ke Diameters* me se guzar kar paar nikal sakte ho toh aisa kar dekho Extr Force ke istemaal ke bina nahi kar sakoge. Ab tum apne Rab ke kin kin ahsaano ko jhutlaye jaoge”

–Quran 55:33-34

Force and Velocity ke qayde ke mutabiq auzaro (equipments) ki madad se ek din Dharti (Earth) aur baqi Planets ke Gravitational field me se guzarna mumkin hoga, yeh ishara Quran kar chuka tha. Us waqt me jo sawariyaan (Vehicles) mojoud thi unke alava aur sawariyo (Vehicles) ki khoj hogi, yeh bhi Quran ne bata diya tha –
“Allah ne ghode, khachchar, ghadhe, tumhari sawairyaan aur baees-e-zeenat ke liye peyda kiye aur woh (inke alawa aisi sawariyaan) peyda karega jinka tumhe abhi ilm nahi hai.”
–Quran 16:8-9

In sawariyon (Vehicles) par sawaar ho kar chaand (Moon) par pahuchne ka zikr dekhiye –
“Pura ho jane wala chaand (Moon) gawah hai ki tum zaroor is dharti se doosri dharti tak sawaari par sawaar ho kar jaoge. (Yeh moujza dekh lene ke baad) Phir inhe ab kya ho gaya ki imaan nahi late.”
-Quran 84:18-20

‘Aur ghaur karne wali ek baat aur hai ki Quran me chaand (Moon) ki jo surah hai surah Qamar (Moon) uski pehli aayat se le kar Quran ki aakhri surah Naas ki aakhri aayat tak jitney aayte hai unki tadad 1389 banti hai aur yahi who Islamic saal 1389 Hijri (Roman saal 1969) tha jis saal Neel Armstrong chaand(Moon) par pahuncha tha.’
--------------------------------------------------------------------------------------------------
* ishara hai , Gravity ki hadd ki taraf aur dharti (Earth) aur baqi Planets ke gol hone ki taraf bhi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------

0 comments:

Post a Comment