Pages

Sunday, 11 March 2012

Namaz e Nabwi

Namaz se Mutalliq pehli hadees isme Alhamdulillah Takbeer e tehreema se le kar Salam tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki namaz ka pura tariqa (Movments) mojoud hai:

Abu Humaid Sa’adi R.A. se riwayat hai ki unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasllam ke 10 Sahaba R.A. ki jamaat me kaha ki Mein tum (Sab) se ziyadah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasllam ki namaz ke tariqe ko janta hoon Sahab Kiram R.A. ne kaha phir (hamare rubaru Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam ki namaz) bayan karo. Abu Huamaid R.A. ne kaha : Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam namaz ke liye khadey hote (toh) apne dono haath kandho ke barabar uthate phir takbeer (tehreema) kehte phir Quran padhte phir (Ruku ke liye) takbeer kehte aur apne dono haath kandho ke barbar uthate phir ruku karte aur apne hatheliyaan apne ghanto par rakhte phir (ruku ke doran) kamarseedhi karte, pas na apna sar jhukate aur na buland karte. (yaani peeth aur sar hamwaar rakhte) aur phir apna sar ruku se uthate pas kehte (Sami Allahu liman hamidah) phir apne dono haath uthate yahan tak ki unko apne kandhon ke barbar karte aur seedhe khade ho jate phir (Allahu Akbar)kehte phir zameen ki taraf sajde ke liye jhukte pas apne dono haath (baazu) apne dono pehloow, (raano aur zameen) se door rakhte aur apne dono paaw ki ungliyaan kholte (Is tarah ke ungliyaan ke sirey Qibla rukh hote) phir apna sar sajde se uthate aur apna baayan paaw modhte (Yaani bichaa lete) phir us par bethte aurseedhe hote yaha tak ki har haddi apni jagah par aajati phir (dusra) sajda karte, phir (Allahu Akbar) kehte aur uthte aur apna baaya paaw modhte. Phir us par bethte aur dil jamaeey se aetdaal (Dusri rakat ke liye) khade hote phir usi tarah dusri rakat me karte . Phir Jab do rakat padh kar khade hote toh ( Allahu Akbar) kehte aur dono haath kandho ke barabar uthate. Jaise namaz ke shuru me takbeer awlaa ke waqt kiya tha. Phir isi tarah apni baaqi namaz me karte yaha tak ki jab woh sajdah hota jiske baad salam hai (yaani aakhri rakat ka dusra sajda jiske baad beth kar tashhad, durud aur dua padh kar salaam pherte hai apna baaya paaw (Daaye pindli ke neeche se baahar) nikalte aur baaye janib ko par bethte phir salaam pherte. (Yeh sun kar ) un sahaba ne kah (Ae Abu Huamaid Sa’adee) tune sach kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam isi tarah namaz padha karte the.
-Abu Dawood (Alsalah baab iftatah Alsalah hadees 730, 963), Tirmizi (Alsalah baab ma ja a fee wa saf Alsalah hadees 302)
Ise Ibne Haban , Tirmizi aur Nouwi reh. ne sahi kaha hai.

0 comments:

Post a Comment