Pages

Sunday 11 March 2012

Islamic Wallpapers











Namaz e Nabwi

Namaz se Mutalliq pehli hadees isme Alhamdulillah Takbeer e tehreema se le kar Salam tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki namaz ka pura tariqa (Movments) mojoud hai:

Abu Humaid Sa’adi R.A. se riwayat hai ki unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasllam ke 10 Sahaba R.A. ki jamaat me kaha ki Mein tum (Sab) se ziyadah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasllam ki namaz ke tariqe ko janta hoon Sahab Kiram R.A. ne kaha phir (hamare rubaru Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam ki namaz) bayan karo. Abu Huamaid R.A. ne kaha : Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam namaz ke liye khadey hote (toh) apne dono haath kandho ke barabar uthate phir takbeer (tehreema) kehte phir Quran padhte phir (Ruku ke liye) takbeer kehte aur apne dono haath kandho ke barbar uthate phir ruku karte aur apne hatheliyaan apne ghanto par rakhte phir (ruku ke doran) kamarseedhi karte, pas na apna sar jhukate aur na buland karte. (yaani peeth aur sar hamwaar rakhte) aur phir apna sar ruku se uthate pas kehte (Sami Allahu liman hamidah) phir apne dono haath uthate yahan tak ki unko apne kandhon ke barbar karte aur seedhe khade ho jate phir (Allahu Akbar)kehte phir zameen ki taraf sajde ke liye jhukte pas apne dono haath (baazu) apne dono pehloow, (raano aur zameen) se door rakhte aur apne dono paaw ki ungliyaan kholte (Is tarah ke ungliyaan ke sirey Qibla rukh hote) phir apna sar sajde se uthate aur apna baayan paaw modhte (Yaani bichaa lete) phir us par bethte aurseedhe hote yaha tak ki har haddi apni jagah par aajati phir (dusra) sajda karte, phir (Allahu Akbar) kehte aur uthte aur apna baaya paaw modhte. Phir us par bethte aur dil jamaeey se aetdaal (Dusri rakat ke liye) khade hote phir usi tarah dusri rakat me karte . Phir Jab do rakat padh kar khade hote toh ( Allahu Akbar) kehte aur dono haath kandho ke barabar uthate. Jaise namaz ke shuru me takbeer awlaa ke waqt kiya tha. Phir isi tarah apni baaqi namaz me karte yaha tak ki jab woh sajdah hota jiske baad salam hai (yaani aakhri rakat ka dusra sajda jiske baad beth kar tashhad, durud aur dua padh kar salaam pherte hai apna baaya paaw (Daaye pindli ke neeche se baahar) nikalte aur baaye janib ko par bethte phir salaam pherte. (Yeh sun kar ) un sahaba ne kah (Ae Abu Huamaid Sa’adee) tune sach kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Waslllam isi tarah namaz padha karte the.
-Abu Dawood (Alsalah baab iftatah Alsalah hadees 730, 963), Tirmizi (Alsalah baab ma ja a fee wa saf Alsalah hadees 302)
Ise Ibne Haban , Tirmizi aur Nouwi reh. ne sahi kaha hai.

Shirk aur Sifarish

"Beshak Allah Shirk (Uske saath kisi ko Sharik banane) ko maaf nahi karenge, uske alavajo gunah honge, toh woh jiske liye chahenge, maaf kardenge aur jo Allah ke saath shirk karta hai toh yaqeenan hi usne ek bahut bada gunah bandha"
- Quran 4:48

"Beshak hi jo Allah ke saath shirk karta hai, toh yaqeenan hi Allah ne us par Jannat haraam kar di hai, aur uska thikaana dozaq hai aur zaalimo ke liye koi madagaar nahi hoga"
- Quran 5:72
"Aur aap Is kitaab ke zariye un logo ko khabardaar kr de jo apne Rab ke samne jama hone ka dar rakhte hai ki waha Allah ke siva un ka koi dost nahi hoga ar waha sifarish karne wala bhi nahi milega taki ye log parhezgaar buri bato se bachne wale ban jaye"
-Quran 6:51
"Jiske haath me har cheez ka ikhtiyaar hai aur woh panah deta hain aur koi uske muqable me panah nahi de sakta”
-Quran 23:88
Yeh aise log the jo apne deen ko khel tamasha banaye hue the ar un ko duniya ki zindegi ne dhokey me daal diya, Aaj hum bhi in ko ishi tarha nazar andaaz kr dengy jasey is din ki Mulaqat ko yeh khud bhule hue the ar hamari aayto me bade jhagde nikalte the…
-Quran 7:51
 

Wednesday 7 March 2012

Quran me insaan ke chaand (Moon) me pahuchne ka zikr

“Hey Jino aur Insano ki toliyo! Agar tum samajhte ho ki Aasman aur Zameen (Earth) ke Diameters* me se guzar kar paar nikal sakte ho toh aisa kar dekho Extr Force ke istemaal ke bina nahi kar sakoge. Ab tum apne Rab ke kin kin ahsaano ko jhutlaye jaoge”

–Quran 55:33-34

Force and Velocity ke qayde ke mutabiq auzaro (equipments) ki madad se ek din Dharti (Earth) aur baqi Planets ke Gravitational field me se guzarna mumkin hoga, yeh ishara Quran kar chuka tha. Us waqt me jo sawariyaan (Vehicles) mojoud thi unke alava aur sawariyo (Vehicles) ki khoj hogi, yeh bhi Quran ne bata diya tha –
“Allah ne ghode, khachchar, ghadhe, tumhari sawairyaan aur baees-e-zeenat ke liye peyda kiye aur woh (inke alawa aisi sawariyaan) peyda karega jinka tumhe abhi ilm nahi hai.”
–Quran 16:8-9

In sawariyon (Vehicles) par sawaar ho kar chaand (Moon) par pahuchne ka zikr dekhiye –
“Pura ho jane wala chaand (Moon) gawah hai ki tum zaroor is dharti se doosri dharti tak sawaari par sawaar ho kar jaoge. (Yeh moujza dekh lene ke baad) Phir inhe ab kya ho gaya ki imaan nahi late.”
-Quran 84:18-20

‘Aur ghaur karne wali ek baat aur hai ki Quran me chaand (Moon) ki jo surah hai surah Qamar (Moon) uski pehli aayat se le kar Quran ki aakhri surah Naas ki aakhri aayat tak jitney aayte hai unki tadad 1389 banti hai aur yahi who Islamic saal 1389 Hijri (Roman saal 1969) tha jis saal Neel Armstrong chaand(Moon) par pahuncha tha.’
--------------------------------------------------------------------------------------------------
* ishara hai , Gravity ki hadd ki taraf aur dharti (Earth) aur baqi Planets ke gol hone ki taraf bhi.
--------------------------------------------------------------------------------------------------

Saturday 18 February 2012

Tawheed in Islam


"Aap S.A.W. keh do ki jin ko tum Allah ke siva pukarte ho unki bandegi se mujhe mana kar diya gaya, keh do ki me tumhari manchahi pr nahi chal sakta, aisa karo to me bhi bahek jaonga ar sahi rasta chalne walo me shamil nahi raha".
 -Quran 6:56


"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aap farmadijiye ki mene tumse kabhi ye nahi kaha ki ALLAH ke khazane mere paas hai aur mane ye bhi nahi kaha ki me ghaib ka ilm rakhta hoon aur me tum se ye bhi nhi kehta ki me koi farishta hoon me toh chal pada us wahi par jo meri taraf ki gayi aap farmadijiye kya andha ar aankh wala dono barabar ho sakte hai kya phir bhi tum sochte nahi"
 -Quran 6:50


“Aur tumhare Rab ne kaha ki mujhe pukaro me tumhari dua qubool karunga”
-Quran 40:60

“Aur jab aapse mere bande mere bare me maloom kare toh me toh qareeb hi hoon dua karne wali ki dua qubool karta hoon jab who mujhse dua karta hai toh (logo ko) chahiye ki mere ahkaamo ko mane aur mujh par imaan laaye ajab nahi ki hidayat pa jaye”
-Quran 2:186

"Jiske haath me har cheez ka ikhtiyaar hai sur tum sabko usi ki sur lot kar jaana hai"
-Surah 36:83